Woh Ishq-e-Ahmad ki hain Alaamat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa Kaee Sahabah pe hay fazeelat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Guzaari khidmat mein umr saari Nabi pe hay apni jaan waari hay pee unhoun ne ma-e-muhabbat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Badar se le kar Tabook tak har maqam par paysh paysh rehtay Rasool ki hay mili Ma'iyyat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Hay Jaam-e-Furqat jisay pilaya Owais-e-Qarani unhain banaya Mila hay jisko Maqaam-e-Qurbat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Bilal ki Azmaton pe qurbaan jinhain khareedein Habeeb-e-Rahman Lagayen Siddiq jin ki qeemat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Ahad Ahad ki sadaa zabaan par banay huay hain Raza ke paykar Kamaal hay inn ki Istiqaamat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Rasool ne di yahi bashaarat Suni hay qadmon ki unn ke aahat Jo Waqt-e-Meraaj ponhchay jannat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Woh Yaad-e-Mawla mein mehw rehtay Wuzu ko qaim hamesha rakhtay woh kartay raaton mein bhi ibaadat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Azaan aisi kisi ne di hay ke naam jab bolay Mustafa ka tou ho rahi ho unhain Ziyarat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Guzar gaya jab ke waqt aksar bulaya Aaqa ne phir se dar par Sunaee sab ko Azan-e-Ulfat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Baroz-e-mehshar bhi fayz paaen Suwaari Aaqa ki woh chalaen Rasool ke saath jaaen Jannat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Hua hay Dil jab tera thikaana Nabi ki ulfat ko uss ne jaana Tumhari mid'hat Nabi ki mid'hat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa
Bilal nazaan na kiun ho tum par tumhara charchaa sunaey ghar ghar hay paaee jis ne tumhari nisbat Bilal-e-Habashi Hamaray Aaqa















