Rishta bhi tuta aur dil bhi... Rishta bhi tuta aur dil bhi... Bas unhe hamari jarurat na rahi aur wo chal diye...
Dil ke itane tukade huye ki kya kahe, dil k itane tukade huye ki kya kahe, jodne nikale toh kuch khaas tukade ab mil hi na rahe
Ab jab Unn tukado ko dhundne lage .. pata chala wo jate jate unnhe kuchalte chale gaye, un tukado ko kuchalte chale gaye...
Kuch yaado ne aisa basera bana rakha hai aakho me ki aise waqt me wo chubh bhi raha hai aur nikal b nahi raha hai.. Aaj mere jagah wo hoti to shayad maine phir kamjor gir jana tha. Itana kuch ho raha hai... Taklif sahe nahi ja rahi.. mann karta hai abhi gale laga lu aur itani badi baat hai sab kuch bata du..
Phir yaad aata hai jo aaj tak hua.. jitne b aaye gaye ya aaj hai unki tasvir dekh k khud ko mana liya hai..
Jise mere har chij se taklif hai.. jisne har baar mujhe bina bataye bina mauka diye bina meri tadap kam kiye jindagi me badhna aa gaya.. kuch samay na ruka gaya, na koi mauka diya gaya na mujhe samajhne ki koshish ki gayi.. bas jhut bola gaya.. hamesha ye ehsaas dilaya k mai kuch b karlu wo kam hai.. mera pyar ab koi maine nahi rakhta to pyar sufficient hone ka koi sawal hi nahi aata.. koi vishwas nahi bacha ab.. to aise insaan ko kyu apni yaado me bhi jagah du..
Mujhe laga tha ye sab aasan ho jayega kuch samay baad.. par ab Aisa lag raha hai ye ghutan kabhi kam nahi hogi.. ye sirf mere marne k baad hi mere sath khatm hogi!
Ab bas ye taklif kam ho jaye..!!!













