Meri Pareshaniyan
Meri pareshaniyon se jaake puch wo kyu har dafa chali aati hai
Puch usko ke kyu wo har martaba bin bulaye aajati hai
Uske maksado se main waaqif nahi hoon
Par uski fitrat toh dekh wo har dafa kuch sikha he jaati hai
Aaj toh main khush hoon mujhe aaj kya sikhane aayi hai
In lamho ko jee raha hoon na main
Abb kis maksad ko pura karne aayi hai
Usne dheemi awaz mein mujse kahan ke
Tu kisi ka shukriya ata karna bhool chuka hai
Teri Zindagi ne jo ye mehfil sajayi hai
Tu usi mein gumrah ho chuka hai
Main aayi yaahan kisi ke arzi se hoon
Main yahan uss rab ki marzi se hoon.
-Aman











