Neki yahi hai
Bas maine kah diya na? ab dubara is bare me baat na karna
Mere pass itna faltu waqt nahi hai ki tumhare bahane baziyon par kaan dharun Aur roz jo tum drame karte rahte ho,uspar gaur karun samjhe? Faaruq ke kamre se ati aati uski garajdar awaaz brabar wale kamre mein leti Fakhira ke kaano se takrai to wo sar hila kar rah gayi Woh kuch der aur bhi akbar par barasta raha Unka dhayan isi taraf laga hua tha ki unhe gaadi start karne ki awaaz ayi Jiska matlab tha ki wo duty ke liye hospital rawana ho raha hai Wo uth kar baramde ki taraf ayin to saamne hi kaarpet par Akbar ko udas baithe huye dekha to unke dil ko kuch hua Na jane faaruq mein itna gussa kyun bhara rahta hai Har waqt jaise mirche dabaye rakhta hai naukron ki daant dapat karna Jaise uski adat thi lekin fakhira ka khayal tha ki naukron se Pyar se baat karke bhi kaam karwaya ja sakta hai kya ye zaroori hai Ki ham dusre insan ki tauheen karein akhir wo bhi insan hain Fakhira ko bete ka aisa rawaiyya bilkul pasand nahi tha Kya baat hai akbar? aise kyun baithe ho? ji bibi ji aisi to koi baat nahi Fakhira ke awaaz dene par wo jaise apne khayalon se chaonkte huye bola To phir itne pareshan kyu ho? aur faruq tum par itna gussa kyu kar raha tha? Baat ye hai meri ek choti bahen jiski 6 mahine pahle shadi hui thi Usko achanak tified bukhar ho gaya he aur wo hospital mein hai Amma ne kaha ki mujhe jana chahiye lekin shab ji chutti nahi de rahe Aur kaha wo marti hai to mar jaye uske jaane se duniya ko koi fark nahi padta Zindagi chahe ameer ki ho ya gareeb ki har kisi ke liye kimti hoti hai fakhira jaiyse kaanp si gayi unke ghar ki dehleez par ek gareeb Ka dil dukha tha| ye to us khuda ke hath me hai jise chahe izzat de Jise chahe zillat de to phir ham kyun ghamand mein ajate hain? Lo beta ye paise rakhlo aur kal ki chutti main tumhe de rahi hun Faaruq peshe se doctor tha aur subha ka nikla raat mein ata tha Raat mein faaruq aya to akbar ko awaaz lagayi tabhi darwaza khula Are ammi aap? faaruq bola aur wo uske paas akar baith gayin Aulaad chahe kitni badi ho jaye lekin maan baap se choti hi rahti hai Aur sahi galat ka fark samjhana maan baap ka farz hai Isliye unhon ne soch liya tha ki aaj faaruq se baat karke raheingi Are aapne kyun takleef ki akbar se kah detin| kyun main tumhara itna Sa kaam nahi kar sakti? tumhe paaspol kar maine itna bada kiya hai Akbar ne nahi| Unhonein bade pyar se uske sir pe hath pherte huye kaha Akbar ko maine chutti de di hai uski bahen bimaar hai na oh ammi Ye kya kiya aapne? un logon ki to adat hoti hain jhuthe bahane banane ki Tankha puri lete hain aur aye din kisi na kisi rishtedar ki bimaari ka Bahana bana kar chutti karne ko taiyyar rahte hain phir unhon ne Apne bete ko insaniyat ke baare mein samjhaya dusre din subha bell baji Faaruq ne darwaza khola to akbar darr gaya are sahab ji aap salaam Kaise ho aur tumhari bahen kaisi hai? faaruq ne pucha| thik hun sahab ji Wo bhi thik hai lekin wo bahut dara hua tha ki sahab usko datenge magar kuch na kane par hairaan tha| chalo ye to acchi khabar hai Aur parson maine jo tumhara dil dukhaya uske liye sorry bolta hun Are sahab ji ye kaisi baat karrhe hain mai iss kaabil nahi ki aap Mujhse maafi mangein| kisi se maafi maangne se koi chota nahi ho jata faaruq ne kaha faakhira peeche khadi dono ki baatein sun rahi thin AUr pyar bhari nazron se bete ko dekh rahi thin| bete ke naye roop ko Dekh kar khuda ka shukr bhi ada kiya unka beta ek naram dil insaan Ban chuka tha|











