Hamko zulmat se itna pyaar hai, pata nahi kyun hai, andhere se itna pyaar kyun hai, ham andhere ki taraf kyun maayil hain?
Aur jab Allah baar baar hamse kehta hai, waada karta hai ki main tum ko zulmaat se noor ki taraf le jaana chahta hoon... "Aur tum zulmaat se noor ki taraf aao, aur jinki azhaan aur roohein band hain, wo roshni ki taraf nahi aayenge.
Aisa nahi ho paata, aarzu ye rehti hai ki insaan apne kaam apni mehnat se kare...
... 𝑲𝒖𝒄𝒉𝒉 𝒘𝒂𝒒𝒕 𝒏𝒊𝒌𝒂𝒂𝒍 𝒌𝒆, 𝒌𝒊𝒔𝒊 𝒃𝒉𝒊 𝒛𝒖𝒃𝒂𝒂𝒏 𝒎𝒆𝒊𝒏 𝑨𝒍𝒍𝒂𝒉 𝒌𝒆 𝒔𝒂𝒂𝒕𝒉 𝒌𝒖𝒄𝒉𝒉 𝒈𝒖𝒇𝒕𝒈𝒖 𝒔𝒉𝒖𝒓𝒖 𝒌𝒂𝒓𝒆𝒊𝒏. 𝑲𝒖𝒄𝒉𝒉 𝒅𝒊𝒏𝒐𝒏 𝒎𝒆𝒊𝒏 𝒂𝒂𝒑𝒌𝒊 𝒛𝒂𝒂𝒕, 𝒂𝒂𝒑𝒌𝒂 𝒛𝒂𝒎𝒆𝒆𝒓 𝒋𝒐 𝒉𝒂𝒊, 𝒖𝒔𝒌𝒆 𝒔𝒂𝒂𝒕𝒉 𝒘𝒂𝒃𝒂𝒔𝒕𝒂 𝒉𝒐 𝒋𝒂𝒂𝒕𝒂 𝒉𝒂𝒊
- Baba Jee 🌹











