Ek baar ek dopaheri, Nind aayi badi gaheri ! Nadia se bhi gaheri, Saagar se bhi gaheri ! Main soya tha, Kyuki, Main raat ko bada roya tha ! Is gaheri nind me, Main dubki laga raha tha ! Chitragupt ko lekar, Yamraaj bhi aa raha tha ! Gaheri nindra se mujhe jagaya, Apni rath pe mujhe bhi bithaya ! Yamlok me mera application bhara gaya, Us form pe mera signature bhi liya gaya ! Digital camera se photo khinchkar, Mera photo bhi chipkaaya gaya ! Waha ki line thi bahot hi lambi, Ration dukan aur gas ki line se bhi lambi ! Hazaro logo ke phichhe meri line thi, Waha ke staffo ne pee wine thi ! Nikamme the sarkaari staffo ki tarah, Nikamme the apne sarkaar ki tarah ! Do ghante mein ek ka number aata, Use uske karmo ke anusar saza sunaya jata ! Main thaka haara paresan ye soch raha tha, Ki, mera number, Kab aayega, Un logo ki tarah mujhe saza, Kab sunaya jayega ? Itne mein judge saheb "Mr. Yamraaj" ka, Bhoo Lok se phone aaya, Emargency karya ke liye unhe bulaya ! Kyuki, Apne sainiko ne, 10 aatankbadiwo ko maar giraya tha, Isiliye to yamraaj ka bulawa aaya tha ! Yamraaj ne kaha time nahi hai mere paas, Sadne do un kamino ki laas ! Jo jaisa karega, Waisa paayega, Noch-noch kar unke sarir ko, Chil-kauwa khayega ! Ab line kuch kam ho rahi thi, Kyuki sabki ticket badi joro se kat rahi thi ! Lambi partiksha ke baad, Mera bhi number aaya, Yamraaj ne bade aadar se mujhe bulakar, Ek kurshi par bithaya, Kuch ghee se bani mithaiya, Aur ras-paan bhi karaya ! Main mann hi mann soch raha tha, Mujhe itni mehaman nawazi kis liye ? Puch pada main, Kyu yamraaj jee, ye kis liye ? Yamraaj ne chitragupt ko bulaaya, Srimaan idhar to aaiye, Pahele khate-bahi mein dekhiye, phir bataiye ! Ye yaha kya kar rahe hai ? Inki to samay bahot door hai, Aaayu ki sima abhi bharpur hai ! Chitragupt ne kaha, Sarkaar mujhse galti ho gayi, Mujhe maaf kare ! Le-dekar mamle ko, Yahi pe saaf kare ! Yamraaj ne apne muh ka pat khola, Aur jhat se mujhe bola ! "Nabin" tumhe galti se yaha laaya gaya hai, Kyuki, Laaloo ki jagah tumhe hi paaya gaya hai ! Ab aap yaha se prasthan kare, Aur humare Chitragupt ko maaf kare ! Aadar aur samman ke saath mujhe, Bhoo Lok pahuchaya gaya ! Aankhe khuli to tuti khatiya pe main paaya gaya ! Aye "Nabin" mujhe ye kaisa saza sunaya gaya, Achha khasha swarg lok me tha, Phir mujhe dharti pe kyu laya gaya ? Mujhe dharti pe kyu laya gaya ?
















