Ji men aata hai ki ab ahd-e-vafa bhi tod duun
un ko pa sakta huun mai ye aasra bhi tod duun
haaa munasib hai ye zanjir-e-hava bhi tod duun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
ji men aata hai ye murda chaand taare noch luun
is kinare noch luun aur us kinare noch luun
ek do ka zikr kya saare ke saare noch luun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
le ke ik changez ke hathon se khanjar tod duun
taaj par us ke damakta hai jo patthar tod duun
koi tode ya na tode main hi badh kar tod duun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
badh ke us indar sabha ka saaz o saman phunk duun
us ka gulshan phunk duun us ka shabistan phunk duun
takht-e-sultan kya main saara qasr-e-sultan phunk duun
ai gham-e-dil kya karun ai vahshat-e-dil kya karun
- excerpts from "Awara" by Asrarul Haq Majaz














