Namaze Fajr se Ghaflat Kyon?
Duniyabhar ki har masaajid me salatul Fajr me namaziyon ki tadaad kam ya naa ke barabar hona musalmanon me hubb ad dunya ki alamat batlata hai. Yaani duniya ki mohabbat aakhirat par ghalib aa gayi.
Allah ki mohabbat ko pase pusht daal diya jiska nateeja surah tauba me yeh bataya gaya ki ab tum azabe ilaahi ka intezar karo. Aur isi tarha 56 muslim mamaalik (countries) hone ke bawajood aalami satah par kuffaar ka ghalba hona batlata hai ki musalmanon me karahat al maut aa gayi hai. Yani maut ka darr , isliye Iqbal ne kaha tha;
Hai tumhe maut ka darr, unko Allah ka darr tha..
Quwwate bazoo pe nahi, bharosa unhe Allah par tha !
(sahaba ko)
Majmooi taur par yeh wahn naamki bimaari ki alamat aur symptoms hain jiska tazkera hadees ne aaya hai. Isiki peshangoyi karte hue nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tha. (mafhoom) ki doosri qaume tum par toot padegi jab tumhare ander wahn yani duniya ki chahat aur maut ka khauf aa jaega. Yaha se ummat ki pasti, downfall, zawaal, rusvayi, zillat, shikast aur girawat ki shuruwaat hoti hai.
Tareekh utha kar dekh lo, chahe saltanate mughaliya ho ya spain (andaloos) ho, aisho ishrat, ayyashi aur duniya-parasti ne unki kamar tod kar rakh di. Allah ki sunnat aur Allah ka ek kanoon hai ki agar tum Allah ki is zameen par uski farmabardari nahi karoge, to islam tumhara mohtaj nahi hai, woh tumhe safa e hasti se mita kar aise logo ko laega jo uske muqarrab farmabard bande honge.Faisla aapke hath me hai. Meethi neend chahiye ya urooj o kamyabi.
Kis qadr tum pe giraan(mushkil) Fajr ki bedaari hai,
Humse (Allah se) hai pyar kahan, neend tumhe pyaari hai!!
https://youtu.be/Q9zz4jZVEfw