Rantings of a free soul. If you identify with what we say, then it is up to you to spread the message! Join us on facebook at facebook.com/sarkashofficial. Unhain kaisay koi azaad karay? Jinhain apni ghulaami ka ilm nahi Koi kaisay unhain sang lay ke chalay Jo thamay hain apni hi zanjeerain Majmay say juda, main akela khara Jaan paoun toh janoun main apni khata Bas itni khata, jhoot ko jhoota kaha Jo dil main tha sab sach keh diya! Gar woh sun sakain toh main bhi kahoon Ya iss zulmat-kada mai ab chup rahu Purane dastoor pe natak chalta rahay Gar mushkil naheen hai rasta naya Yay barabari ka sabaq hai har kitaab mai raqam Kon barabar yahan? yay kis ko pata Koi zalim koi mazloom koi aaqa koi gadaa Koi arabi koi ajami koi banda toh koi khuda! Dolat-o-ishrat kisi ko wirsay main mili Toh kissi ko sabr ki talqeen he kahi Kia yay sheikh ka hai nizaam, khuda ka naheen Arfa-o-aala ka dastoor, aur usee ki zameen! Yay deen ka touq mehz ghareeb per hee kyun? Kay woh umaraa ka lahoo baha na day kaheen Soch par paabandi laga detay hain youn Kay sab baybass haqeeqat jaan lain naa kabhee Iss pay khamosh rehna hai meri khata Iss zulm ko sehna hai meri khata Majmay say juda main akela khara Jaan paoun toh jaanoun main apni khata Peeri mureedi kay fasanay chaltay rahain Bad-batkhtee kay bahanay chaltay rahain Jo sar uthay, kyun ussi ko saza? Jo chup na rahay, kyun ussi kee khata? Woh main hee hoon, dehleez pe para! Woh main hee hoon, kathehray main khara! Majmay say juda, main akela khara Jaan paoun toh janoun main apni khata Inn ki ankhoun say pattian utaaro zara In kay adarsh toh sawaro zara Jab niklain yay jalay ghar doosroun kay Aainay koh aks apna dikhado zara Yay thi meri khata, main yay thaa kehnay chala Majmay say juda mai akela khara












