"Aik baat yaad rakhna gunaah har soorat gunaah hi rehta hai issay kisi bhi tarha naiki nahi saabit kya ja sakta.Lekin tab gunaah ka bhoaj bohot zyada barh jata hai jab taaweelain paish kar kar k ussay darust qadam karar dainay ki koshish ki jae.Insaan gunaah karay aur us pe sharamsaar ho tau mumkin hai ALLAH ussay maaaf farma dai lekin gunahgaar khud ko haq per samjhay,ye ALLAH ko sakht na pasand hai."










