Haa kho du mein jo khudko
Tujhko paane ke liye thami hai saansein
Toh naa mujhko thukra ab tu
Mein soch main hu tere bhi aage
Na zikr kar tu pichli baaton ka
Jee le thoda tu bhi aaj mein
Ye waqt jo hai humare paas ab
Na soch tu kaise katengi bhala ye shaame
Hijr ka suraj jo dhala
Be-inetaah hogi ab baatein
Naa janu mein khudko ab
Bas chal chala hu tere ab sahare
Haa bhar du mein kaafi ab panne
Jab likhna jau mein tumhare baare
Par aisa ek din bhi naa aaye
Jab pura likh sakhu mein tumhare baare
Khair chhord ab ye baatein
Andaaz tumhara gazab ka
Ishq mein doob gayi meri ye aankhein













