Book 2 - 1
Jab tum subha jaago, yeh kaho apnay aap say: jin laugon say main aaj milunga woh hongay dakhal andaaz, naashukray, maghroor, baimaan, hasad khor aur badmasgh. Woh aisay hain kyunkay woh acchaee aur burai main farq nahin kar paatay. Maghar maine acchaee ki khubsuurti aur buraai ki badsuurti dekhi hai, aur yay pehchaana hai kay ghaltee karnay waalay ki fitrat aur meri fitrat ek jaisi hai - ek haisa khoon ya paydaish nahin, maghar ek jaisa zehn aur ehl main ek hissa. Aur koi mujhe nuksaan nahin pauncha saktaa. Koi mujhe burai main mulawwis nahin kar saktaa. Na main apnay bhai say naraaz ho sakta hoon, na main us say nafrat kar sakta hoon. Hum aik saath kaam karney key liye paida huay thay jaise payr, haath aur aankhein, haisa daan kay qataarain, upar kay aur neechay kay. Ek doosray ko ruqaawat qarna ghair qudrati hai. Kisi pay gussa karna, us pay peeth palat lay na, yay ruqawatain hain.











