Na-rawa kahiye na-saza kahiye..
Kahiye kahiye mujhe bura kahiye,
Tujh ko bad-ahd o bewafa kahiye..
Aise jhoote ko aur kya kahiye,
Dard dil ka na kahiye ya kahiye..
Jab wo poochhe mizaaj kya kahiye,
Phir na rukiye jo muddaa kahiye..
Ek ke baad doosra kahiye,
Aap ab mera munh na khulwayen..
Ye na kahiye ke muddaa kahiye,
Wo mujhe qatl kar ke kahte hain..
Maanta hi na tha ye kya kahiye,
Dil mein rakhne ki baat hai ghum-e-ishq..
Is ko hargiz na barmala kahiye..
Tujh ko achchha kaha hai kis kis ne..
Kahne waalon ko aur kya kahiye,
Wo bhi sun lenge ye kabhi na kabhi..
Haal-e-dil sab se ja-ba-ja kahiye,
Mujh ko kahiye bura na ghair ke saath..
Jo ho kahna juda juda kahiye,
Intiha ishq ki khuda jaane..
Dam-e-aakhir ko ibtida kahiye,
Mere matlab se kya gharaz matlab..
Aap apna to muddaa kahiye,
Aisi kashti ka doobna achchha..
Ke jo dushman ko nakhuda kahiye,
Sabr furqat mein aa hi jaata hai..
Par use der-aashna kahiye,
Aa gayi aap ko masihaai..
Marne waalon ko marhaba kahiye,
Aap ka khair-khwah mere siwa..
Hai koi aur doosra kahiye,
Haath rakh kar wo apne kaano'n par..
Mujh se kahte hain maajra kahiye,
Hosh jaate rahe raqeebon ke..
'Dagh' ko aur ba-wafa kahiye.!!
"Dagh Dehlvi"
















