“Pyar 💛 aatma ki parchhai (shadow) hai
Ishq 💛 ishwar ki ibadat (Prayer)
aur Mohabbat 💖 zindagi ka maksad (purpose)
magar afsos ki baat hai chunni babu,
ki aapke dost ke paas to kuchh bhi nahi hai,
na atma na ibadat na maksad,
aur aap ye jo baar baar hathon main rupaye pakadte hain na dev babu,
kotho par ye tawayafo ke talwon main hote hain,
agar itna hi ghamand hai apne aap par, to hame wahi lauta dijiye,
jo humne aap par kharch kiye hain, do ratein
humari do ratein udhar rahee aap par dev babu,
jab tak aap nahi aayenge mahfil nahi sajegi,
in aankho ko aapka intazaar rahega”













