mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai
mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai // woh isy sheher ki galliyon mein kahin rehta hai
jiski saanso'n se mahekte the dar-o-baam tere // aey makaan bol kahan ab woh maki'n rehta hai
ik zamana tha ki sab ek jagah rehte the // aur ab koi kahin koi kahin rehta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug beet gaye // ishq mein waqt ka ehsaas nahin rehta hai
dil fasurda tou hua usko dekh ke usko lekin // umr bhar kaun jawaa'n kaun hasee'n rehta hai
Ahmad Mushtaq









