“Woh Jo Roshni Thi”
Roshni ban'ne aayi thi, andheron ka sabab ban gayi,
Jo kabhi kehti thi, 'kaale DP mat lagana,' khud kaala khwab ban gayi.
Woh jo rang bhar deti thi har tasveer mein, Aaj sirf yaadon ki dhundhli lakeer ban gayi.
Ek waqt tha, jab uski hansi roshni si lagti thi,
Aaj usi ki yaadon ne andheron se dosti kar li.












