Jaisa tumhra naam tha tum bhi bilkul vaisi hi thi, aasmaan ki tarah, saari umar apna ishq lutaya tumne sab par bas badle mei tumhe kabhi vo ishq nahi mila. Jab mujhe tumse ishq hua tab shayad samay sahi nahi tha, tum kisi aur ke ishq mei thi aur aasmaan tha ki sabko bheegone mei laga tha.
Lekin tab bhi jab durr raha tumse, tum hamesha mere qareeb hi rahi, tumhri baatein, tumhari aankhein, tumhara pyaar se sharmana, tumhara gusse mei naak chadana sab sath raha.
Hum doobara phir mile, milte kyu naa tum aasmaan thi mai zameen ek dusre se bach kar jaate kaha, tum phir paas aayi, phir sharmayi, jo mere andar ishq ki bachi hui jagah thi usko tumne pura apne naam se likha diya.
Aur phir jab tumne mujhse ishq kiya, doobara samay ne apna muh mod liya.
Nida Fazli ne shayad sahi hi likha hai “kisi ko mukammal jahan nhi milta, kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta.”
Tumse phir utna hi durr ho gaya jitni durr aasmaan se zameen hai, ishq mukammal hone ko tha aur toofan ne jaise shehar ujad diya.
Mai karta bhi toh kya? Shayad maine jo kiya vo galat hi kiya, aasmaan ke bina aakhir zameen hai hi kya, ye laachar aankhein ab kiski aur dekhegi, ye dil par jo naam likha hai iski syahi konse pani se nikalegi?
Ek aag mei shayad tum jal rahi ho, ek dhoop mei ab mai bhi hamesha tadpta rahuga.
Aur shayad uss baarish ki duaan maanguga jis baarish mei hum dusri baar mile the.
Uss baarish ke aane tak apna khayaal rkhna.
-aadi (letter to Nilofer from Jay / Jubilee)