Ibadat
Kya karunga taaron ka jab mere aasman me tera chand nahi
Kya karunga main satrangi siyahi ka jab mere lafzo me kahin tere izhaar nahi
Kya karu me iss aish o aaram ka jab tere saath ka sukoon nahi
Kya karunga fir inn mahalo ka jab mera heera mere khazane me nahi
Tujhe khona mujhe khud ko khone se zyada darata hai
Tere ailava kisi ko apne ghav dikhaane me dil itna jo itna itrata hai
tere baad ab kisko hi pasand kar paunga
Hawa me udti teri zulfo ke jaal se kya me kabhi ubhar paunga
Tere baad ek darbadar bhatakta sa musafir ban reh jau main
teri bas ek aur deedar ki dua rabb ko har shaam kar aaun main
tu agar na mili toh tujhe apni yaado me sambhal kar rakhunga
Teri maujoodgi na sahi, teri har nishaani seene se laga rakhunga
nahi sunn paunga baatein taare tod laane ki
Bas mujhe mera chaand lauta dena, usse bada mera koi ehsaan nahi rahega
~ 🌙













