Safar yahin tak ka.
bohot kuch pane ki chah main
nikla tha ghar se
manzilo ki khabar thi
par anjaan tha safar se
kuch apne peeche choot gaye
toh kuch badal se
saath unke chalte chalte
mukammal kuch sapne huwe
ek tarha se jeene ka tareekha
badal ne laga
beeta waqt zehen main toh tha
par soch main nahi
phir dheere dheere tootte sapne ne
bata diya
ki raasta kuch aur hain
aur muhje jana kahin aur hain
main hakikat ke kareeb tha
par khwaabon ke nahi
jo sukoon uski yaadon main tha
wo khayalon main nahi
wo sukoon kho gaya
khair jo samjha, jo jana, jo kiya
kya galat, kya sahi
kaha nahi kisi ne
phir jana hoga uski yaad main
jhoot ki fariyaad jeene
hakikat ki talaash main
phir nikla hu ghar se
manzil ka toh pata nahi
puch lunga apne dil se
aaj phir todiya
usne sheesha ye dil ka
ummeed aur khwaab ka pata nahi
par humara safar yahin tak ka.













