Om shree maha
Ganadhi patey namah
Om shree umamaheshawara bhya namah
Vaalmiki gurudeva ne
Kar pankaj teer naam
Sumire maat saraswati
Hum par ho khud sawaar
Maat peeta ki vandana
Karte baaram baar
Gurujan raaja praja
Jan naman karo svikaar
Hum katha sunate
Ram sakal gundham ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki
Jambu dweepebharat khande
Aryavarte bharat varshe
Ek nagari hai vikyat ayodhya naam ki
Yehi janma bhoomi hai
Param pujya shrii ram ki…
Hum katha sunate
Ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki……
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki
Raghukul ke raja dharmatma
Chakravarti dashrath punyatma
Santati hetu yagya karvaya
Dharm yagya ka shubh phal paya
Nrip ghar janme char kumaraa
Raghukul deep jagat adhaara…
Charon bhratonke shubh naama
Bharat shatryghna lakshman rama…
DOWNLAOD THE Hum Katha Sunate Song
Guru vashishtha ke gurukul jaake
Alpa kaal vidya sab paake
Puran huyi shiksha
Raghuvar puran kaam ki
Hum katha sunate
Ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki
Mruduswar komal bhavana
Rochak prastuti dhang
Ek ek kar varnan kare
Lav-kush ram prasang
Vishwamitr mahamuni raayi
Inke sang chale do bhai
Kaise ram tadka
Kaise naath ahilya taari
Munivar vishwamitra tab
Sang le lakshman ram
Siya swayamvar dekhne
Pahunche mithila dham
Janakpur utsav hain bhaari
Janakpur utsav hain bhaari
Apne var ka chayan
Karigi sita sukumari
Janakpur utsav hain bhaari
Janak raj ka kathin pran
Suno suno sab koi
Jo tode shiv dhanush ko
So sita pati hoye
Jo tore shiv dhanush kathor
Sab ki drishti ram ki oar
Ram vinaygun ke avtaar
Guruvar ki aagya siroddhar
Sehej bhaav se shiv dhanu toda
Janak suta sang naata joda
Raghuvar jaisa aur na koi..
Sita ki samata nahin hoyi
Jo kare parajit kaanti koti rati kaam ki
Hum katha sunate ram sakal gundham ki
Yeh ramayan hai punya katha siya ram ki
Sab par shabd mohini daali
Mantramugdha bhaaye sab nar naari
Yun din rain jaat hain beete
Lav-kush ne sab ke mann jeete
Van gaman sita haran hanumat milan
Lanka dehen ravan maran
Ayodhya punaraagaman
Sab vistar katha sunaayi
Raja ram bhaye raghuraai
Ram-raj aayo sukh daayi
Sukh samriddhi shrii gharghar aayi
Kaal chakra ne ghatna kram mein
Aisa chakra chalaya
Ram siya ke jeevan mein
Phir ghor andhera chaaya!!
Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Nishkalank pe praja ne
Mithya dosh lagaya!!
Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Chadi siya jab todke
Sab sneh-naatae moh ke
Pashan hridayonmein na
Angaare jage vidhroha ke
Mamtamayi maaonke
Aanchal bhi simat kar reh gaye
Gurudev gyan aur neeti ke
Sagar bhi ghat kar rehgaye….
Na raghukul na raghukul nayak
Koi na hua sia ka sahayak…
Maanavta ko kho baithe jab
Sabhya nagar ke vaasi
Tab sita ko hua sahayak
Van ka ek sanyaasi….