Ke Ghalib kehte hain,
"Lafz karenge ishara jaane ka,
Tum aankhein dekh kar ruk jaana"
Ab vo aankhein bhi kaise dekhein unhein?
Jo aankhon ki chamak hi le gye.
Kya hi vo din honge jab vo mere baare mein sochte honge,
Yaad aati hogi tabhi shayad sapno mein aya karte honge,
Do pal ka chain mil bhi jata hoga iss dil ko mere,
Fir sapno ke saath aksar yeh dil bhi tut jaya karta hai.
Vo dil hi kya jo tumhara na hua?
Par hum deewane hi kya agar aapna liye hote?
Vo lafz hi kya jo tumhari aur na ruke?
Par ab aur kab tk likhau, har baar jo zakhem lotein?
Aau agar dilli kabhi,
Hazrat-nizamudin milna,
Yeh nazar jo tumhare liye behekti hai,
Aakhir ek akhri mulakat banti hai.
Jo yaad aau mai kisi mukaam par
Toh do pal tham jaana,
Jo ruke kadam gulshan-e-iqbal ki dehliz par,
Mujhe yaad kar apni zulfon mein ek gulaab zaroor sajana.
- The last entry from @sourpunk08 ki journal










