Ae Zindagi, itni naraaz kyun ho?
Aaj kal raat bhar jaga ke rulati ho, kabhi kabhi din bhar satati ho. Aise kya kiya hai maine? Tum mujhse itni khafa kyun ho?
Aaj kal duniya kitni anjaani si lagti hai, dil har do minute pe toot ta rehta, hausla buland karna hai kehtey kehtey saal beet gaye aur woh abhi bhi bikhra pada hai.
Gum sum se rehti ho aaj kal. Maine koi galti ki kya? Sab toh tumharey hisaab se karney ki koshish ki thi maine. Agar ki hai to maaf kardo, tumhara khaalipan bardash nahi hota hai aaj kal. Main bahot koshish karti houn tumharey virane main khush rehne ki magar aasoun nahi samjhtey mere. Kya karoun? Meri rooh hi kaap uth thi hai is khaalipan ko mehsoos karke. Woh toh sehmi sehmi bhaiti rehti hai aaj kal. Use lagta hai tum kabhi wapis nahi aaogi. Aisa nahi hai na? Itni khaafa toh nahi ho na tum? Mat ho na, warna yeh saasein kaat khayengi mujhey.
Der ho gayi hai. Aaj phir main aur meri nam aankhein adhouri neend lengi. Subah main tumhara intezar rahega. Gile shikwey maaf karo. Ab aur kitni saza dogi?
Allah Hafiz.














