Darrta hu mai:-
Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai,
kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai
Jaani pehchani galliyan bhi ab anjaan lagti hai,
Inki naarazgi bhi mujhe badi naadaan lagti hai
Ghar ko teri jo raah jaati hai aaj bhi pukara karti hai,
Koi usse samjhao ab meri nhi kisi aur ki yaha haazri lagti hai
Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai,
kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai
Motiyo sa itr hai in hawaaon me,
Dil-e-nadaan aaj bhi khelta hai in baaghon me
Samjhane ko to samjha bhi lu,
behlane ko to behla bhi lu
Jhooti hoti to mita bhi lu
Toli jaa skti to paima bhi lu chuka bhi lu
Magar lagta hai abhi sirf itraa hi lu to sukoon hai
Ulfat-e-nakaam nhi ye mera junoon hai
Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai,
kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai
Sach kahu to kal hi guzra mai teri gali se
Peecha nhi kr rha hu tera
Ye roz roz aana mera salaam hi to hai
Maana ki mehfil ab meri nhi par
Aaj bhi dil tera ghulaam hi to hai
Nahi aunga ab se
Peecha krke nahi sataaunga ab se
Vaada hai mera
Lekin kab tak rokega tera ye vaada,
Ye mujhpe chand der ki lagaam hi to hai
Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai,
kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai