Shaayad Saagar Jaanta Ho Ke Aant Main Nadi Uss Main Hee Samaayegi
Shaayad Parwana Samajhta Ho Ki Yeh To Lau Hai, Bujh Hee Jayege
Jisse Milna Hee Hai Uske Intezar Main Raatein Kyun Bitaayein
Jisse Bujhna Hee Hai Usko Baar-Baar Baar-Baar Kyun Jalaye
Apne Premi Ko Uski Khud Ki Nazm Likhne Do
Usko Apni Kahaani Apni Zubaani Vyakt Karne Do
Pyaar Ki Bhasha Ko Puri Tarah Kabhi Jaanna Nahin Padhta
Aur Jisse Prem Milna Chahiye Use Kabhi Maanga Nahin Padta
- Priya Malik










