Hazaar dafa kisi aur mein mujhe dhoondhoge,
phir bhi har dafa ehsaas hoga — main sirf ek hi thi.
Not today Justin
art blog(derogatory)

tannertan36
Mike Driver
Lint Roller? I Barely Know Her
taylor price
Sade Olutola
trying on a metaphor

shark vs the universe
styofa doing anything

Origami Around
ojovivo
h
Aqua Utopia|海の底で記憶を紡ぐ
No title available
Cosmic Funnies
AnasAbdin

祝日 / Permanent Vacation

⁂

blake kathryn
seen from Sweden
seen from Brazil
seen from United States
seen from United States

seen from Chile

seen from Taiwan
seen from Venezuela

seen from United States

seen from United States
seen from United States

seen from Brazil

seen from Poland
seen from Italy
seen from United States

seen from T1

seen from Türkiye

seen from United States
seen from United States

seen from United States
seen from Netherlands
@tumharidesiladki
Hazaar dafa kisi aur mein mujhe dhoondhoge,
phir bhi har dafa ehsaas hoga — main sirf ek hi thi.
सारे ज़माने में बंट गया वक़्त उसका, हमारे हिस्से में बस बहाने आए।
Hum intezaar karte rahe, umeed ko thaamay hue, magar har lamha ek naya bahana le aaya. Aakhirkaar samajh aaya — hum uski tarjeeh kabhi thay hi nahi, bas uski pasandon ke darmiyan ek thehraav thay.
Nasib mai hua toh haath se ja kar bhi wapis ayega,
magar har bazgasht mein woh pehli si rooh kahan hoti hai…
jo kabhi kho gaya tha, woh aksar waisa laut kar nahi aata.
Kuch chehre bas yaadon ki dhund mein mehfooz reh jaate hain,
kuch ehsaas khamoshi ban kar dil ke gehre zakhmon mein utar jaate hain.
Phir ek din be-awaaz samajh aa jata hai,
mohabbat sirf wusool ka naam nahi, firaaq bhi uski taqdeer hai, aur jo har dafa chhoot jaye…
zaroori nahi ke woh kabhi tumhara tha.
I read somewhere
"aur phir dukh kis baat ka… aap humare the hi kab?"
Replying it
dard is baat ka nahi ke tum mere na the… dard is baat ka hai ke maine tumhe apna samajhne ki himmat kar li. tum toh bas guzarte hue lamhe the… aur main tumhe apni poori zindagi samajh baithi.
tumhe chaha bhi is had tak ke khud ko bhool gaye, aur tum the ke humein kabhi apna keh na sake…
humne toh har khamoshi mein tumhe pukara tha, tumne har lafz sun ke bhi anjaan banne ka hunar rakha…
ab sochte hain, dukh kis baat ka ho… jab rishta sirf meri taraf se tha, aur tum sirf aadat ban ke reh gaye…
tum mohabbat nahi the meri, bas ek khoobsurat ghalat fehmi the… jo dil tod kar bhi dil mein reh gayi.
phir batao… tum kabhi mere the hi nahi, ya main hi kisi ki hone ke laayak nahi thi?
shayad usse us tarah ishq nahi jaise maine kiya,
shayad usse meri bheegi palkon ka bojh mehsoos nahi hota,
shayad usse mere seene mein uthti hui woh bechain dhadkan sunai nahi deti,
shayad usse meri rooh ki woh sargoshiyaan samajh nahi aati,
shayad usse meri khamosh cheekhon ka koi ehsaas hi nahi,
shayad usse meri raaton ki veerani nazar nahi aati,
shayad usse meri duaon mein basa hua uska naam sunai nahi deta,
shayad uske liye mohabbat ek guzarta hua lamha hai,
aur mere liye ek laa-makaan sa dard, jo har raat meri rooh ko be-awaaz cheer deta hai.
Adhuri chahatein meri, adhuri dastaan meri, mere jazbe adhure hain, meri khwahishon ke paimane adhure hain.
Mohabbat ke mere honton pe afsaane adhure hain, adhurepan ki duniya mere charon taraf hai.
Phir bhi,
apne dil ki sab gehraiyon ke saath, sab sachchaiyon ke saath, main iqraar karta hoon ke main "tumse pyaar karta hoon".
~z
Agar bichhadna hi likha tha, toh itni gehri mulaqat kyun hui?
Agar aakhir mein khamoshi hi rehni thi, toh phir itni baatein kyun hui?
Agar yaad hi ban jaana tha, toh phir itna apna kyun lagne lage the tum?
Agar dil todna hi tha, toh phir usse apna kehne ki zarurat kya thi?
TO MAIN TUMHARA
Agar ye keh do baghair mere nahi guzara, — To main tumhara.
Ya is pe mabni koi ta-aasur, koi ishara, — To main tumhara.
Ghurur-parwar, ana ke maalik, Kuch is tarah ke hain Naam mera magar qasam se, Jo tum ne ek naam bhi pukara — To main tumhara.
Tum apni sharton pe kheelo, Main jaise chahun lagaun baazi, Agar main jeeta to tum ho mere, Agar main haara,— To main tumhara.
Tumhara aashiq, tumhara mukhlis, Tumhara saathi, tumhara apna, Rahe na in mein se koi duniya mein Jab tumhara — To main tumhara.
Tumhara hone ke faislay ko, Main apni qismat pe chhorta hoon, Agar muqaddar ka koi tota, Kabhi sitara — To main tumhara.
Ye kis pe taweez kar rahe ho, Ye kis ko paane ke hain wazeefay, Sabhi ko chhoro, bas ek kar lo Jo istikhara —To main tumhara
~amir ameer
Pehle hongi umar-bhar ki baatein,
phir bas yaadein rahengi—
aur baat karne ke liye poori umar kam pad jaayegi.
Har pal koi tumhe bina shor ke dekh le — bas wahi mohabbat hoti hai.
It was OCTOBER
Shayad kisi din hum phir milenge,
aur phir main wahi sawal liye tumhare saamne aaungi—
kyun? —
Kyunn tumne bina bole faasla chunn liya,
kyun mere har sach ko tumne aadha suna,
kyun main ruki rahi aur tum aage badh gaye,
aur kyun jo sabse zyada apna tha
usi ne sabse zyada chup rehkar tod diya.
Aur jab main poochungi—
maine kya galat kiya?
tumhare paas jawaab nahi hoga,
sirf wahi khamoshi
jo mujhe har roz dard deti rahi.
Apne hi chahne wale ke saamne
aansu aankhon tak aakar ruk jaate hain.
Muskurahat ek aadat ban jaati hai,
aur khamoshi… ek panaah.
Dil jo cheekhna chahta hai,
woh dheere dheere chup hona seekh leta hai.
Kyun ke narm dil
sirf toot’ta nahi—
woh bina awaaz ke bikhar jaata hai. 🌙
Main mar jaun
Tujhe meri khabar na miley
Tu mujhe dhoonta rahe
Tujhe meri qabar na miley.
Lol let me try something
Tu joh gayi, humse hum na mile
Dhundh lunga tujhe aur Teri kabar ko
Usse pahle Mujhe Sabar Na mile.
(tried replying)
”Tum qabar dhoondhne aaoge.…
toh mitti bhi meri saans rok kar tumhari aamad sunegi.
Sabr tumhein mile bhi kaise…
mera raasta toh har haal mein tumhari jaanib hi mudta hai.“
”Mujhe milna hai tumse us jahan main
Jana bichadne ka koyi riwaaj na ho“
Main mar jaun
Tujhe meri khabar na miley
Tu mujhe dhoonta rahe
Tujhe meri qabar na miley.
Mere dil se har woh ta'alluq rukhsat ho gaya jo kisi waade ke baghair tha.
(Every connection left my heart, even the one without any promise.)
Maine har woh chiz kho di joh kabhi mera tha hi nahi.