Kuch cheenna hai mujhse toh, meri saansein le le Ae khuda,
Mera sahara lekar tujhe kya milega...
Aasman se saare taare chupa le tu bhale hi,
khushiyon kya hoti hai bhul jane ko hu tyaar me....
Baksh deta unko tu ye sochkar kaash,
Is duniya me teri jagah tune unko bheja....
Kar diya tune jo tujhe karna tha....
Toh ab sun meri bhi.......
Mat dena aage kabhi ye zindagi phir.....
Bina maa ke mujhe is zindagi se aur kya hi milega













