Jihad Imaan Ibadat
Aik koshish; khud se ki gae faryad hai.. Jis se khush hota nahi Rab, ye kaisa tera Jihad hai ? Tujhe maloom nahi, masoomiyat ka chehra zalim.. Teri hasti pe Lanat ho, tu barbaad hai.. Kyun ye Insaaf ke dawe daar phirtay hain her nagar.. Munsif e Alaa tu sirf aik Allah ki zaat hai.. Mazahib pe behas kerna asaan hai raat bar.. Aur sajdon main waqt guzaarna tuj ko dushwaar hai.. Hussain Nabi se hain Nabi Hussain se.. Ab bhi kisi na murad k dil main inkaar hai.. Tu ibadaton main ulaj mat, sirf jaan le Haq e bandagi ka hi naam Danish, Abu Turaab hai. Zaban pe Kalma jab ata hai Ya Rab.. Dil ki Duniya roshan meri, meri Akhirat Abaad hai..












