Maafinaama Ghar mein dubak ke bait gaye saare khuda jab Sab ka khuda bhi hasta diya, maine ijaad ki inki kab, Shaitaan bola yeh tere hi bandey hai, Aankhwale andhe hain jo maine kaha tha, mere peeche aayeinge tujhse palat jaayenge Jinke liye tune basai hai duniya Yeh duniya ke mallik, khud hi ban jaayenge Rab ne kaha, kab chali hai duniya zor zabaradasti se Suna toh hoga hi patta bhi nahi hilta, bina meri marzi ke Meri Aazmaish mein, wahi utarta hai khara Jo Haq ke liye, Zaalim se jo hai ladaa Zaalim bhi ek aazmaish hai, jo bhi uske saath chala Geen leta hoon main, kis kis mooh kala hua. Dil mein khauf liye baita hai har ek nek insaan Ab naya kya azaab bhej dega Bhagwaan Mazdoor ka haal dekhkar main bhi bahut hoon roya Sab kuch paaker insaan ne, dekho kaise sab kuch khoya Haath mein bacche hue hai muthi bhar paise Kaise hoga kya hoga aage din kaatenge kaise Khaufzada hoon ab main Corana se zyada Mazdooron ki Aah pura na karede apna wada Khudagarzi ka yeh tamasha duniya yaad rakhegi Qayamat se pehle yeh qayamat yaad rakhegi Tere amaal hi bas tere saath jaayenge Bina mohalat ke apne jism se juda ho jaayenge Maal gaya, Rutba gaya, gaayi teri Shaan Tera khuda bhi gaya Ab toh, sabke khuda ko pehchaan Suna hai Tauba ke darwaaze bhi band ho jaate hai, azaab ke aate Sab ke khuda, yeh wo Azaab na ho, jahan tu bandh kar deta hai khaate. ab bhi nek insaan baaki hai, teri iss zameen par, bhookhon ko diya khana, bistar, khud ko bechkar. Hum bahut zulm kiya apni jaan par, Maaf kar hum sabke khuda bhool samajkar Maaf kar hum sabke khuda bhool samaj kar Maaf kar hum sabke khuda bhool samaj kar Ismail ( Main bhi Sher ) #mainbhisher #ismailumarkhansheroshayri #poem #shayari #kavita #maafinaama #pasandaayetohsharekaro https://www.instagram.com/p/CAbrkqvpAyA/?igshid=1yk7vwnqglvq