Aazaad Nazm | Urdu Poetry Diwali 🪔
Ye diwali kii adaaeiñ mujh ko bahut bhaatii hai, makaañ – makaañ meiñ shamaa* kii lau jagmagaatii hai.
( shamaa* { शमा } = lamp )
Charaag* jalte haiñ, lau* jhilmilaatii hai, pakvaan kii mahak tab sab ko bahut lubhaatii hai.
( charaag* { चराग़ } = an oil lamp; lau* { लौ } = candle light )
Manaate haiñ iss tyohaar ko desh bhar meiñ sab, diwali to sab ko ek hona sikhaatii hai.
© Aks Akshita Aks
Happy Diwali everyone 🎇


















